Blog meaning in Hindi:Agar app internet chalate hain to kai baar apne Blog ka naam sune honge. Aakhir ye blog kya hai What is a Blog meaning in Hindi. Me ajj apko is Blog ke naam ke piche ka pura chupi raaj pura Simple way main bataunga. Aur ye bhi bataunga ki isse ajj kal kese paisa earn kiya jata hai . To chaliye suru karte hain.
Blog meaning in Hindi.
Zyadatar log kisibhi website ko blog bolte hain But yesa nehi hain. Blog usko kehtehain jisme kuch topic hota hai ya ek log apni baatein,tricks or kuch bhi likhke share karta hai. But sab website ko blog bolna sahi nehi hai. Kyun ki websites kai types ke hote hain. jeseki Downloading websites , Wishing websites,Shopping websites. Blog meaning in Hindi bole to bohat baat hai par ek beginner ko ye Article hi kaafi hai.
Blog kese banate hain.
Blog banana ajj kal bohat hi simple hogeya hai. Aur internet ki competition market me kai sare ese bhi service provider hain jo ki amm admi ko free me blog banaeka mauka bhi dete hai. To sabse pehle apko ek Blog banana keliye ek Domain name ki jarurat hai. Domain name kya hai aur isko kese liya jai ? Iske bare main ham pehle se hi ek Article me bataye hain app chahe to usko padh sakte hain.
Blog kaha banate hain.
Dekhiye blog ap ajj ke jamane me in do jagah banaye to apkeliye sahi rahega ek hai Blogger aur dushra hai WordPress. Jo ye Blogger hai ye google ka hai. Aur isme apko kuch pay karneka nehi padega. Aur dushri taraf WordPress keliye apko thoda paisa kharch karna padega. Ek acha blog banana keliye apko pehle ek Domain name kharidna padega jo ki .COM, .IN, .NET Ho to chalega agar apki blog app India me popular karna chahte hain to apko .in domain name ka zarurat padegawahi dusri taraf agar app puri World me apki baatein ya apki blog ko share karna chahte hai to apko .COM wala Domain name lena padega .
Domain Name Meaning in Hindi aur isko kese Kharide.
Domain lene ke baad apko bas ek naam hi milega .com ya .in wala. Lekin ap jo website ya blog banayenge uskeliye ye naam sirf kaafi nehi hai uskeliye apko Hosting lena padega jisme ap apni website ya blog ko pura Develop karenge ya banayenge .Agar app beginner hai ya apko Blogging ke bare main kuch knowledge nehi hai to apko Blogger me apni website banani chahiye . Agar app already kuch jante hain to apko WordPress me thodi si paisa dekar apni blog banani chahiye .
Blog se income kese kare
Ye sawal kafi logon ke mann me atta hai ki Blog se paisa kesa kamaya jaye . Tou ajj me apko shortly bataunga. Baki ki puri jankari apko dhire dhire pata chal jayega hamari anewali post se. Dekhiye blog se log kai tarike se paisa earn karte hain jeseki Adsense ka Advertisement dikhake, Khudka kuch Product bech ke, Affiliate marketing(Dushre ka product bechna) karke.To isme apko maine jyada nehi bataya hai kyun ki Blog banana se pehle kavi bi paiso ki bare main sochna nehi chahiye.
Agar apka passion hai to paisa automatically apke kadam par aake girega par iskeliye thodasa apko intejaar karna padega. Ye Article kesi lagi ham ko niche omment karke bataiye. Aur ese hi good information keliye har din hamare ye Blog shouthindi.com par aaiye. Yahan ham apko saari important jaankari bilkul free me denge jisko ki log course karke paisa deke bhi nehisikh pate. Jai hind