15 Android Tips & Tricks: Are Bhai aaj kal kahan neya Android Tips & tricks and shayaristatus nehi milta hai. Har kahi pe wo purani ghisipti Android Tips & Tricks. Kya Kare, Tum Batao Bhai ? Chalo Chodo Aaj kuch mein Esa Hi 15Android Tips & Tricks Bataunga Kuch Purana Hai Kuch Neya Hai, Lekin sab Kaam ka Hai.
CineHub APK Download For Android
15 Android Tips & Tricks Jo Apki Dimag Hila De !
#1 Android Tips For More Battery Life:-Kya app sach me kam Battery Life se pareshaan hai? To deri kis baat ki bhai Powersaver On Kar Dijiye Ha Ha Ha………… Mazak Tha Lekin Sach Mein Power saving on karne se battery life zyada der chalti hai. Bydwy App apni Mobile se saare Unwanted Application ko Remove kijiye. Uske Baad Baki Bache Application Ko Regularly update kijiye 1000% Apki battery zyada chalegi. God promise jhut nehi
.#2 Best Android Tips for More Speed:-Apne Andord Mobile ko Speed Karene keliye kaafi log Cleaner ka istemaal karte hain, Jo ki pura galat hai. Apko Bas apni Phone Me Storage me jaana hoga > Check Storage usage me jaye > Then app Apni Cache Data ko pura Delete kar dijiye isse Apki mobile ke speed increase hojayegi. Din me 2 ya 3 Baar kijiye.
#3 Screen Recording Android Trick:-Android Screen Record karna aaj kal bohat hi simple hai. Bas apko apni mobile me ek Screen Recorder ko install karna padega. Uske baad apko us Recorder application me puri information mil jayegi kese record karenge. Apko koi Dikkat nehi hogi. Screen Recorder Download karne keliye yahan click kare DU Screen Recorder.
#4 Android me Data Kaise Bachaye ? :-Android Me Data bachane keliye app bohat sare Data saver app hai jisko Google play store se Download karsakte hain. Lekin Asli Data tab bachega jab apki Phone Background Me chalti app Data khichna Band Karenge. Iskeliye simple se apki phone me app Data saving option me jaiye wahan apko Disable Background data naam ka ek option hoga usko Enable kijiye. Aur Jo Application ka Data Band karna Cahte hain usko mark kar dijiye. Abhi jab app wo Application ko open karenge bas tabhi wo apki data ko khich payega.
# 5 Kam RAM wala Android Me PUBG khele ? :-Dekhiye PUBG ka bukhaar to aaj kal sab ko chadha hai. Lekin Kaafi logon ke paas jo Mobile hai uski RAM ya Storage itna kam hai ki wo usme PUBG ka aanand nehi lesakte. Lekin Abhi PUBG ka lite version aageya hai jo ki sirf 350MB ka hai. Usko app Playstore se Download karke Khel sakte hain.
#6 Android me App Ko bina Install Kiye Kese chalaye? :-Android me app Kuch Applications ko Play store se bina install kiye Bhi chala sakte hain. Ye facility Instant apps ke naam me jaana jata hai. Par aaj bhi kaafi Application ke andar me nehi hai ye Facility. Phir Bhi app jab kisibhi App ko install karte hain to usse pehle dekhlijiye Kahin Test App to nehi likha hai Install ke side mein. Agar esa likha hai to app usko Bina install ke bhi chala sakt hain aur Apki Memory ko bacha sakte hain.
15 Android Tips & Tricks
#7 Android Me Game Ko Speed Kaise Chalaye? :-Android me Game Khelna to sabhi pasand kart hai kahs kar ke PUBG Diwane log. Lekin kavi kavi hamare Phone me Game Smoothly nehi chalti. Kyun ki Either Game bohat MB ka hota hai nehi to Hamare Graphics bohat kam hote hai. To iske solution aaj apko me bataunga iskeliye apko Kuch steps karne honge. Steps Niche Haini) Settings me jaaye.ii) Developer Options par jaaye.iii) Ab yahan par niche aapko Force 4x MSSA ka Option dikhega, Use ON ya Enable kar le.iv) Uske baad Aap Apne Phone me behtareen Gaming Performance ka mazaa le payenge.
#8 Android Me Whatsapp Status Video Edit Kaise Kare? :-Android Me Whatsapp Status video Edit karke banana to sab chaht hain lekin unko sahi Knowledge ya Editing Application Nehi mil pata hai. Isliye me Batana chahunga ki app Kinemaster naam ka ek Application hai jisko Play store se Download Karke App us tarah ka video bohat hi aasani se bana sakte Hain. Download kare Kinemaster
.#9 Android Me Youtub Se video Kese Download Kare Bina Application Se ? :-
Android me Youtub ke videos app bade hi asani se Download kar sakte hai wo bhi bina kisi application ke madat ke . Pehle apko Jis video ko Download karna hai uska Link lena hoga. Youtube me har Video ke Niche share option me click kijiye , Uske baad ek “copy link” ka option ayega . Bas abhi copy link ke upar click kijiye . Ab link copy hogeya abb apko Chrome Browser/Kisibhi Browser kholna hai aur ye website me jana hai www.onlinevideoconverter.com. Uske baad Copy kiya hua link ko paste karna hoga or OK press karna hoga . Bas kaam finish. Abb apko wo Puchega Download Quality. Bas man pasand ke quality me download karlena
.#10 Android me Video/Image Hide kaise kare Bina Application ke? :-Android me Video ya Image ko Hide karna Bohat hi assan hai ye kaam bina kisi Application ke madat se bhi ho sakta hai. Dekhiye kabhi kabhi ham kuch videos ya photos ko chupanki kosish karte hain taki wo Gallery me na aye. Iskliye ham ko tarah tarah ki apps ko install karna padta hai. Lekin is ka ek trick hai;- App jis bhi video ya photo ko hide karna chaht hain us file ke folder me jaye aur wahan ek New Folder Create kare aur usko .nomedia ke naam pe save karde. Bas Hogeya kaam finish.
Baki ke 5 Android 15 Android Tips & Tricks Bohat Khas Hain:-
#11 Hang hone ke baad Switch off kaise Kare? – Android tipsAgar apka phone Hang Hogeya Hai aur Switch off nehi ho raha hai to Ghabraneki koi zarurat nehi. Bas apni mobile me Power key + Volume Down key ko ek saath 10 seconds tak dabaye. Kaam Hojaye ga
#12 Phone Pani Me gir geya To kya Kare? Agar phone Pani me girgeya to Kripiya usko Switch on Mat kijiye . Usko Thoda sukha kar Chawal ke dabbe me Daal dijiye aur 4 Ghante ke baad usko Gas/Chula ke paas rakhiye 1 ghanta ke liye
.#13 Android slow charging Ho raha hai kya karu? :-Dekhiye apki Phone slow charging hone ke karan apki Bad charger / Data cable bi Ho sakte hai. So Battery/ Phone change karne se phle apni charger/Data cable ko change kar ke dekhe.
#14 Android Phone me Network nehi aa raha kya karun? :-Pehle to app apni Area me dekhiye ki Network problem hai ki nehi. Agar Network sab jagah hai aur bas sirf apke phone me nehi hai to , Pehle apne mobile ko Restart kijiye then usko Network Mode me jaa kar 2G/GSM me kijiye. Chance hai ki apki problem solve ho jayegi (Not 100% Sure).
#15 Android Phone Bohat Heat Horaha hai Kya karun? :-Dekhiye ye Problem Bohat hi Different karano se ho sakta hai. Par Agar yesa charging ke time pe ho raha hai to i’m sure apki charger me problem hoga usko change kijiye. Agar Normal time me bhi Heat horaha hai to sayad usme kuch esa Application hoga jo Processor Me jyada dawab dal raha hoga. Kripiya Check kijiye aur us App ko Uninstall kijiye.Dekhiye Hamare iss Article kaise lagi Best Android Tips & Tricks ke upar Niche comment karke jarur Batana. Aur Hamara Aur Bhi Acha Acha Articles hai usko Bhi Padhiye. Thanks